kaun kehta hay ajj hoon main
kisna kaha kal bhi tha main
main tua silsila hoon us kari ka
jis kari ki na hay khatam na hay ibtididah
mujhsay juddah hokar kehta hay mehboob mera
aa dhoondh mujhay main tua hoon yaheen khara
per kidher hay tu? srif kyon sunai dayti hay goonj see
kyon tarap uththee hay zindagi halkii si ahat say
samnay ayega ab tu tua sab say pehlay karoonga main
apni biptaa jo honi bhi hay aur na honi bhi
is ishq kay bhi usool hain kaisay
sab teray banaye huway baghair hamsay poochay
yeah kia jagah hay yeah kia ehsaas hay yeah kia zindagi hay
jo hay tua kehnay ko apni per guzarti hay apni marzi say
hasrat hay keh maut kabhi dhoondhay mujhay bhi
per mar kar bhi na hoee khatam baychaini, tua phir gunahgar bhi hum hee
nahi jeena aur nahi marna aur
nahi suni teri sab batain aur
No comments:
Post a Comment