Monday, March 2, 2009

Shikwah (inspired by Iqbal) in urdu

ajj kar dalna hay mainay gilla
Us hasti say jiski takat hay bay panah
Jo karta hay pyar satar maon say ziadah
phir bhi chorta hay apnay pyaron ko is tarah
keh koi uska naam laytay hoye dard main ho mubtalah
tua hay us per Allah ka imtehan
aur agar kissi gunah gaar per par jaye zindagi-e-khizan
tua us per hay alam naak saza
agar yeahi sach hay tua humain yea bata
kyon nahi dekhta tera karam kissi ki wafa-o-jafa
tu agar waqieye khaliq-o-mutliq hay tua humain bana
bay dard-o-takleef kay koi insaan
naheen karsakta tua nahi suna
woh wadda bahisht ka woh wadda karam ka
akhir insaan ki lachari main hay kia mazah?
koi hay tua bus itni si hay dua
kaash hota koi waqiye main mera khuda

*I am not a poet. This is my pathetic attempt at organizing my thoughts. I would definitly enjoy criticism.*

No comments:

Post a Comment